Sunday, February 8, 2009

Dil Hi Kya Jo tere Milne Ki Dua Na kare

Woh dil hi kya jo tere milne ki
dua na kare
Main tujh ko bhool ke zinda rahoon
khuda na kare

Rahe ga pyaar tere saath
zindagi ban kar
yeh aur baat meri
zindagi wafa na kare


Yeh theek hai nahi marta koi
judaii mein
khuda kisi ko kisi se
magar juda na kare

Agar wafa pe bharoosa rahe
na duniya ko
tu koi shakhs muhabbat ke
husla na kare

Suna hai uss ko muhabbat
duaein deti hai
jo dil pe chut khaye
magar gila na kare

Bujha diya hai naseeboon ne
mere pyaar ka chand
koi diya meri palkoon pe
ab jala na kare



Zamana dekh chuka hai
parakh chuka hai usse,
"Qateel" jaan se jaye magar
iltja na kare..!

No comments: